Baandh len hath pe seene pe saja len tum ko

Baandh len hath pe seene pe saja len tum ko
Jee mai aata hai ke taweez bana len tum ko

Phir roz tumhe sanwaren tumhe Barhta dekhen
Kyun na aangan mai chambeli sa laga len tum ko

Kabhi khawab ki tarah ankh ke parde mai raho
Kabhi khawahish ki tarah dil mai bula len tum ko

Raat ke seene mai hai jis tarah mehtab ka noor
Us tarah apni tareek makano mai bulalen tum ko

Hai kuch aisi aqeedat dil mai tere liye
Hathon mai duaon sa utha len tum ko

Ajab si shararat uthti hai mann mai
Karke munna sa hawaon mai uchale tum ko

Marne ki ijazat bhi to nahi dete ho
Warna abhi mar jayen or mar kar mana len tum ko

Is qadar toot ke tum pe pyar ata hai hame
Apni banhon mai bharen or maar hi dalen tum ko

Ab to yahi tamanna reh gayi hai dil mai
Kahin pe bikhre howe milo aur sanbhalen tum ko

Comments

Popular posts from this blog

Two Lines Poetry in Urdu With Images

Allama Iqbal Great Poetry in Urdu With Pics