Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai

Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai
Hausla hai to nadi paar bhi kar sakta hai

Jurm khud karna aur ilzaam kisi par dharna
Ye naya nuskha hai bimaar bhi kar sakta hai

Ek huqumat hai jo inaam bhi de sakti hai
Ek kalandar hai jo inkaar bhi kar sakta hai

Dhundta phirta hai tu der-o-haram mein jisko
Moond le aankh to deedaar bhi kar sakta hai

Jaagte rahiye ki awaaz lagaane wala
Lootne walo ko hoshiyaar bhi kar sakta hai

Comments

Popular posts from this blog

Two Lines Poetry in Urdu With Images

Allama Iqbal Great Poetry in Urdu With Pics