Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata

Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata
jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jata

Sab kuch to hai kya dhondhti rehti hain nigahen
kya baat hai main waqat pe ghar kyon nahin jata

Woh ek hi chehra to nahin saare jahaan mein
jo door hai woh dil se utar kyon nahin jata

Main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha
jate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jata

Woh khwaab jo barson se na chehra na badan hai
woh khwaab hawaaon mein bikhar kyon nahin jata

Comments

Popular posts from this blog

Two Lines Poetry in Urdu With Images

Allama Iqbal Great Poetry in Urdu With Pics