koi to us py qayamat guzar gai ho gi
Lagi thi umer parindon ko ghar banate howe
kisi ne kyon nahi socha shajer giraate howe
main gir gaya kisi khai main larkhrate howe
tu dekhta hi raha mujh ko muskraate howe
ye zindgi thi k dhutkarti rahi mujh ko
main baat kerta raha is se muskraate howe
badan tha choor mera hijar ki mushaqat se
k so gaya tha main khud derd ko sulate howe
koi to us py qayamat guzar gai ho gi
k aap beeti wo rone laga sunaate howe
ajeeb neend main tha khawab gaah e hasti ki
main is jahan se tere us jahan mein jaate howe
kahni goo ke har lafaz main thi jadugari
rula deya tha har shakhas ko hansaate howe
main jal uthata tha tere hi khayal ki lo se
tujhe khayal na aaya mujhe bujhaate howe
na meri chasham e tamanna main jach saki dunya
palat ke dekhta kaise usay main jaate howe
Comments
Post a Comment