Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska

Kabhi akele mein milkar jhanjhor dunga use
Jahan jahan se wo toota hai, jorr dunga use

Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska
Iraada maine kiya tha ke chor dunga use

Paseene baantta phirta hai har taraf sooraj
Kabhi jo haath laga to nichor dunga use

Bacha ke rakhta hai khud ko wo mujhse sheesha badan
Use ye darr hai ke main tor porr dunga use

Maza chakha ke hi maana hun main bhi duniya ko
Samajh rahi thi ke aise hi chhor dunga use

Comments

Popular posts from this blog

Two Lines Poetry in Urdu With Images

Allama Iqbal Great Poetry in Urdu With Pics