Kabhi Sahar To Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se

Kabhi Sahar To Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se

Mujhe Khabar Na Hui Aur Zamaana Jaate Howe
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se

Usse Ziada Zarorat Thi Ghar Basane Ki
Wo Aake Mere Dar o Baam Le Gaya Mujh Se

Bhala Kahan Koi Juz us ke Milne Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se

Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Aiwz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se

Comments

Popular posts from this blog

Two Lines Poetry in Urdu With Images

Allama Iqbal Great Poetry in Urdu With Pics