Posts

Showing posts from October, 2017

Ye Do Kinaray To Darya K Ho Gaye Hum Tum

Image
Ye Do Kinaray To Darya K Ho Gaye Hum Tum Magar Wo Kon Hai Jo Teesra Kinaara Hai

koi to us py qayamat guzar gai ho gi

Image
Lagi thi umer parindon ko ghar banate howe kisi ne kyon nahi socha shajer giraate howe main gir gaya kisi khai main larkhrate howe  tu dekhta hi raha mujh ko muskraate howe ye zindgi thi k dhutkarti rahi mujh ko main baat kerta raha is se muskraate howe badan tha choor mera hijar ki mushaqat se  k so gaya tha main khud derd ko sulate howe koi to us py qayamat guzar gai ho gi   k aap beeti wo rone laga sunaate howe ajeeb neend main tha khawab gaah e hasti ki main is jahan se tere us jahan mein jaate howe kahni goo ke har lafaz main thi jadugari  rula deya tha har shakhas ko hansaate howe main jal uthata tha tere hi khayal ki lo se tujhe khayal na aaya mujhe bujhaate howe na meri chasham e tamanna main jach saki dunya  palat ke dekhta kaise usay main jaate howe

Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata

Image
Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jata Sab kuch to hai kya dhondhti rehti hain nigahen kya baat hai main waqat pe ghar kyon nahin jata Woh ek hi chehra to nahin saare jahaan mein jo door hai woh dil se utar kyon nahin jata Main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha jate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jata Woh khwaab jo barson se na chehra na badan hai woh khwaab hawaaon mein bikhar kyon nahin jata

Yon mere dil k barabar tera ghum aaya hai

Image
Yon mere dil k barabar tera ghum aaya hai Jaise sheshay k mukabil koi pathar jana

Apne sannaton mein dooba ek goonga aadmi

Image
Apne sannaton mein dooba ek goonga aadmi Dil ki masjid mein azaan dekar bilaali ho gaya

Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna

Image
Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna Teergi shaher se rukhsat nahin hone wali Saath chalna hai to talwaar uttha meri tarah Mujhse buzdil ki himaayat nahin hone wali Ab k jo faisla hoga wo yahin par hoga Hum se ab doosri hijrat nahin hone wali

Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena

Image
Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena Haath jab usse milana to dabaa bhi dena Wese is khat mein koi baat nahi hai phir bhi Ahtiyatan isay parh lo to jala bhi dena

Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska

Image
Kabhi akele mein milkar jhanjhor dunga use Jahan jahan se wo toota hai, jorr dunga use Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska Iraada maine kiya tha ke chor dunga use Paseene baantta phirta hai har taraf sooraj Kabhi jo haath laga to nichor dunga use Bacha ke rakhta hai khud ko wo mujhse sheesha badan Use ye darr hai ke main tor porr dunga use Maza chakha ke hi maana hun main bhi duniya ko Samajh rahi thi ke aise hi chhor dunga use

Kabhi dimag kabhi dil kabhi nazar mein raho

Image
Kabhi dimag kabhi dil kabhi nazar mein raho Ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho

To phir yakeen se aage bharam nikal jaye

Image
To phir yakeen se aage bharam nikal jaye Hawa na ho to charagon ka dum nikal jaye Hum ahl e dil ko hiqaarat se dekhne wale Khuda kare teri gardan ka kham nikal jaye Mujhe to maar hi daale ga khaalipan mera Jo dil se teri judaai ka gam nikal jaye

Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage

Image
Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage Charaagh haath utha kar duayein karne lage Saleeka jin ko sikhaya tha humne chalne ka Wo log aaj humein daayen baayen karne lage Lahu-luhaan pada tha zami par ek suraj Parinde apne paro se hawaayein karne lage Zami par aa gaye aankhon se toot kar aansu Buri khabar hai farishtey khatayein karne lage Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar Ye sab mareez hain jo ab dawayein karne lage Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi Safedposh uthe kaayein kaayein karne lage

Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye

Image
Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye Mere Allah meri khaak thikane lag jaye Ghere rehte hain kai khwaab meri aankho ko Kaash kuch der mujhe neend bhi aane lag jaye

Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai

Image
Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai Hausla hai to nadi paar bhi kar sakta hai Jurm khud karna aur ilzaam kisi par dharna Ye naya nuskha hai bimaar bhi kar sakta hai Ek huqumat hai jo inaam bhi de sakti hai Ek kalandar hai jo inkaar bhi kar sakta hai Dhundta phirta hai tu der-o-haram mein jisko Moond le aankh to deedaar bhi kar sakta hai Jaagte rahiye ki awaaz lagaane wala Lootne walo ko hoshiyaar bhi kar sakta hai

Jaa k ye keh de koi sholon se chingaari se

Image
Jaa k ye keh de koi sholon se chingaari se Phool is baar khile hain badi taiyari se Baadshahon se bhi phenke hue sikke na liye Humne khairaat bhi maangi hai to khuddari se

Mere khuloos ki gehrayi se nahi milte

Image
Mere khuloos ki gehrayi se nahi milte Ye jhuthe log hain sachchai se nahi milte Mohabbaton ka sabak de rahe hain duniya ko Jo Eid apne sagay bhai se nahi milte

Kaho To Laut Jate Hain

Image
Kaho To Laut Jate Hain Abhi To Baat Lamhon Tak He Saalon Tak Nahi Aai Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai Abhi To Gard Peroon Tak Hay Baalon Tak Nahi Aai Kaho To Laut Jate Hain Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai Kaho To Lout Jatan Hain Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni Kaho To Lout Jatay Han Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han. Ye Rasta Piyar Ka Rasta, Rasan Ka Daar Ka Rasta, Bohat Dushwar He Jaana Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana. Kaho To Lout Jatay Hain Maray Baray Na Kuch Socho Mujhay Tay Karna Ata He Rasan Ka Daar Ka Rasta Ye Asaiboon Bhara Rasta Ye Andhi Ghaar Ka Rasta T

Aaj Kafan Mai Hon To Tu Rone Ko Ayi Hai

Image
Aaj Kafan Mai Hon To Tu Rone Ko Ayi Hai Kal Tak Rota Tha Jiske Liye WO Zakhm Dhone Ko Ayi Hai Kaha Tha Na Nahi Milega Mujh jaisa Ashiq Tumhe Jo Tumhare Zulm o Sitam Bhi Sahe Aur Tum Se Muhabbat Bhi Kare Jis Tarah Tu Mujhe Chor Gayi Thi Beech Safar Mai Adhora Dekh Usi Adhore Safar Se Mar Kar Mai Jaraha Hon Tujhse Kiya Tha Wada Ke Tere Bin Ek Pal Na Jeeyonga Dekh Wo Wada Bhi Isi Liye Aaj Mai Nibha Raha Hon Maine Kaha Tha Agar Tu Mujhe Na Mili To Na Reh Paonga Mar Jaonga Bin Tere Khud Ko Fana Kar Jaonga Na Rona Mere Janaze Pe Meri Jaan meri Rooh Bhi Ro Paregi Tumhe Khush Rakhne Ka Khud Se Wada Kiya Tha Mera Wada Totega Aur Meri Rooh Bhi Tarpegi Bas AIk Hi Ghum Marne Ka Mujhe Hamesha Hi Rahega Meri Maa Ka Wo Nalayak Beta Na Rahega Kitne Hi Dukh Unko Unki Zindagi Mai Dikhaye Mere Liye Na Jane Unho Ne Kitne Anso bahaye Mar Kar Bhi Unko Udas Kiye Jaraha Hon Mere Khuda Dekh Is Zalim Dunya Ko Chor Tere Pas Araha Hon Jo Galti Maine Ki Usay Na Tum Mere Doston Dohrana Hath Jorta Hon Mai Ke Meri T

Jab tak tumhaare haath mere haath mein rahe

Image
Suraj sitaare chaand mere sath me rahe Jab tak tumhaare haath mere haath mein rahe Shaakhon se toot jaayein wo patte nahi hai hum Aandhi se koi keh de ke aukaat mein rahe

Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna

Image
Chaand ek toota hua tukra mere jaam ka hai Ye mera kaul nahi hazrat e khayyaam ka hai Hum se pucho ke ghazal maangti hai kitna lahu Sab samajhte hain ye dhanda bare aaraam ka hai Ab teri baari hai aayine bacha le apne Mere haatho mein jo pathhar hai tere naam ka hai Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna Tu samandar hai to hoga mere kis kaam ka hai

Wo dor jisse hum aakaash choom sakte the

Image
Puraana karz chukaane mein kharch kar daali Tamaam umr kamaane mein kharch kar daali Wo dor jisse hum aakaash choom sakte the Use patang udaane mein kharch kar daali

Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga

Image
Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga Jo nahin hoga wo akhbaar mein aa jaye ga Chor uchakkon ki karo qadar ke maloom nahin Kon kab kon si sarkaar mein aa jaye ga Apne saahil se ye angaare hata lo Warna  saara paani meri talwaar mein aa jayega

Door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya

Image
Rahat Indori Urdu Hindi Poetry Archives Collection of Rahat Indori Shayari and Ghazals Jaagne ki bhi jagaane ki bhi aadat ho jaaye Kaash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaaye Door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya Phir na kehna jo amaanat mein khayaanat ho jaaye Jugnuon tum ko naye chaand ugaane honge Is se pehle ke andheron ki huqumat ho jaaye Ukhr parte hain meri qabr ke patthar har din Tum kisi din jo chali aao marammat ho jaaye

Kuch aur kaam use yaad hi nahi shayad

Image
Ghazals of Rahat Indori Rahat Indori Poetry Poems Ghazals Love Sad Mera zameer mera aitbaar bolta hai Meri zabaan se parvardigaar bolta hai Teri zabaan katarna bahut zaruri hai Tujhe maraz hai ke tu baar-baar bolta hai Kuch aur kaam use yaad hi nahi shayad Magar wo jhooth bahut shaandaar bolta hai Khuda ne uske labon par mithaas rakh di hai Wo bolta hai to jaise sitaar bolta hai

Tu mujhe chorr k thokra ke ja bhi sakti hai

Image
Tu mujhe chorr k thokra ke ja bhi sakti hai Tere haton mein mera hath hai zanjeer nahi

Silsile tor gaya wo sabhi jate jate

Image
Silsile tor gaya wo sabhi jate jate Warna itne to marasim thai ke aate jate Shikwa e zulmat e shab se to behtar tha Apne hisay ki koi shama jalate jate Kitna asaan tha tere hijar mai marna jaana Phir bhi ik umer lagi jaan se jate jate Jashan e maqtal hi na barpa howa warna hum Paa bajalon hi sahi nachte gaate jate Uski wo jane usay pas e wafa tha ke na tha Tum apni taraf se to faraz nibhate jate