Posts

Showing posts from December, 2015

New Saraiki Poetry Collaction

Image
new year poetry in saraiki.2 line saraiki poetry,saraiki poetry with girls photos,saraiki best poetry,sad saraiki poetry.shakir shuja aabadi sad poetry,saraiki best poetry photos,funny saraiki poetry,lovly saraiki poetry wallpapers,saraiki photos,

Yeh Rahta Kambhakt Paas Hamare Hi, Dil Apne Ko Yun Bekarar Toh Na Karte.

Aap Humse Na Milte Toh Achha Tha, Humaise Kisi Se Pyar Toh Na Karte, Yeh Rahta Kambhakt Paas Hamare Hi, Dil Apne Ko Yun Bekarar Toh Na Karte.

Shayad Khuda Ke Darbar Mein Bhi Beimaani Chalti Hogi

Shayad Khuda Ke Darbar Mein Bhi Beimaani Chalti Hogi, Isi Liye Toh Hamari Kismat Ko Aisa Banaya Hoga, Jab Diye Honge Auron Ko Khusiyon Ke Khajaane, Ghamon Ko Akele Mere Ghar Ka Raasta Dikhaya Hoga.

Ek Din Sapne Mein Aakar Humse Kaha Khuda Ne Yeh, Tune Kiya Bharosa Sabhi Par

Ek Din Sapne Mein Aakar Humse Kaha Khuda Ne Yeh, Tune Kiya Bharosa Sabhi Par Tujhe Iski Saja Milegi, Main Kya Karun Teri Kismat Hi Aisi Hai Mere Ajij, Jiske Saath Bhi Tu Wafa Karega Usi Se Tujhko Jafa Milegi.

Tu Bhi Aakar Dekh Jara, Kisi Ke Bhi Seene Mein Dil Nahi Saari Duniya Pathar Ho Gayi

Tujhse Karke Pyar Sangdil Khud Se Hi Nafrat Ho Gayi, Raaton Ko Jagte Rahne Ki Ab Mujhko Aadat Ho Gayi, Teri Duniya Mein Kya Ho Raha Hai Tu Bhi Aakar Dekh Jara, Kisi Ke Bhi Seene Mein Dil Nahi Saari Duniya Pathar Ho Gayi.

Dil Bhar chuka hai teri mehfil se magar, Kuch to baat hai tujhme jo rok leti hai

Dil Bhar chuka hai teri mehfil se magar, Kuch to baat hai tujhme jo rok leti hai.. 2. Vo guzre hue lamhe aaj fir gunguna uthe hain zahan mein, Jaise shant samandar ki lahron par toofan ne dastak di hai.. 3. Acha banaya ashiyana tumne pyar ka, Buniyaad le gaye mere ghar ki ukhaad kar

Hum bhula na sake aaj bhi apne pehle pyar ko, Na jaane kya baat thi us pyaar mein aisi,

Hum bhula na sake aaj bhi apne pehle pyar ko, Na jaane kya baat thi us pyaar mein aisi, Ek dabi khwahish thi jo aana saki labon tak, Phir bhi sapne mein kyun aa gaye tum aaj bhi 

Jitna pyar hai aapse, Usse aur jyada pane ko jee chahta hai, Jane vo kaunsi khoobi hai aap mein

Jitna pyar hai aapse, Usse aur jyada pane ko jee chahta hai, Jane vo kaunsi khoobi hai aap mein, Ki har rishta aapse banane ko jee chahta hai..

Pyar mein koi dil todta hai, Zindagi mein koi bharosa todta hai

Pyar mein koi dil todta hai, Zindagi mein koi bharosa todta hai, Zindagi jeena to koi gulab se sikhe, Jo khud tutkar do dilon ko jodta hai.

Meri likhi kitaab, mere hi haathon mein dekar vo kehne lagi, Ise padha karo, Mohabbat seekh jaoge

Meri likhi kitaab, mere hi haathon mein dekar vo kehne lagi, Ise padha karo, Mohabbat seekh jaoge.. Yehi Bahut Hai Ki Qayam Rahe Wafa Ka Baharam, Koi Kisi Ka Hua Bhi Hai Kya Umar Bhar Ke Liye.. Tere Liye Chale The Hum Tere Liye Thaher Gaye Tu Ne Kaha To Jee Uthe, Tu Ne Kaha To Mar Gaye

Tevar to hum waqt aane par dikhayenge, Shahar tum khareed lena aur hukumet hum chalayenge

Tevar to hum waqt aane par dikhayenge, Shahar tum khareed lena aur hukumet hum chalayenge.. Aaj khamosh sa manjar hai yahan par yaron, Kahin tum sabko ishq to nahi ho gaya.. Paisa insaan ko upar le jaa sakta hai lekin, Insaan paisa upar nahi le jaa sakta.

Woh raat dard aur sitam ki raat hogi, Jis raat rukhsat unki baraat hogi

Woh raat dard aur sitam ki raat hogi, Jis raat rukhsat unki baraat hogi, Uth jata hun main ye sochkar neend se aksar, Ki ek gair ki baahon mein meri sari kayanat hogi.

Dil Bhi Ek Zidd Pe Aa raha Hai Kisi Bachche Ki Tarah Ya To Sab Kuch Hi Ise Chahiye Ya Kuch Bhi Nahi

Dil Bhi Ek Zidd Pe Aa raha Hai Kisi Bachche Ki Tarah Ya To Sab Kuch Hi Ise Chahiye Ya Kuch Bhi Nahi..  Dil ka bhi kabhi hota hai bachchon sa aalam, Ho zeher bhi khush�rang to peene ko machal jaye.. Mohabbat aur maut ki pasand to dekho yaaron, Ek ko dil chahiye aur dusre ko dhadkan

Ho rahi hai sajish meri barbaadi ki, Kar rahe hain bujurg baatein meri shaadi ki

Ho rahi hai sajish meri barbaadi ki, Kar rahe hain bujurg baatein meri shaadi ki.. Kuch yun lat lagi hai shayariyan likhne ki, Samajh nahi aata bachpan mein scchool jata tha ya maikhane.. Na chhed kissa-e-ulfat badi lambi kahani hai, Main zamane se nahi haar bus kisi ki baat mani hai.

Khoobsurat hai zindagi ek khwaab ki tarah, Jaane kab toot jaye kaanch ki tarah

Khoobsurat hai zindagi ek khwaab ki tarah, Jaane kab toot jaye kaanch ki tarah, Mujhe na bhulana kisi baat ki tarah, Apne dil mein hi rakhna khoobsurat yaad ki tarah..

Sach hai insaan ki khawahishon ki koi hadd nahin. Meri anginat khawahish dekho tum tum aur bus tum

Sach hai insaan ki khawahishon ki koi hadd nahin. Meri anginat khawahish dekho tum tum aur bus tum.. Dil main sab ko aane deta hun par shaq na kar.. tu jaha basti hai_waha kisi ko jaane nahin deta.. Hum to bichde the tumhe apna ehsaas dilane ke liye. Magar tum ne to hamare bina jeena hi seekh liya.

Kuch aib ka hona bhi thik hai malik, Suna hai aap ache logon ko jaldi bula lete ho

Kuch aib ka hona bhi thik hai malik, Suna hai aap ache logon ko jaldi bula lete ho.. Mohabbat ka asar Main kuch is tarah zinda kar deta hun, Dushmano ko bhi gale laga laga kar sharminda kar deta hun.. Are waah mere mehboob badi jaldi aaya khayal mera, Ab bus bhi karo choomna ab uthane bhi do janaza mera.

Hazaron mein mujhe sirf ek vo shaks chahiye, Jo meri gair mauzudgi mein meri burai na sun sake

Hazaron mein mujhe sirf ek vo shaks chahiye, Jo meri gair mauzudgi mein meri burai na sun sake.. Jane kis daur mein jayegi yeh aadat meri, Roothna us se aur auron se ulajhte rehna.. Door jata raha vo har roz thoda thoda, Mujhe to maut zindagi se zara lambi lagi..

Haath ki lakeerein padhne wale ne to mere hosh hi uda diye

Haath ki lakeerein padhne wale ne to mere hosh hi uda diye, Mera hath dekh kar bola yujhe maut nahi kisi ki chahat maregi.. Vo na hi milte to acha tha, Bekaar mein mohabbat se nafrat ho gayi.. Zakhm de kar na pucho dard ki shiddat dard to dard hota hai..

Main lautne ke irade se jaa raha hun magar Safar Safar hai mera intezaar mat karna.

Main lautne ke irade se jaa raha hun magar Safar Safar hai mera intezaar mat karna. Hoti hai lakh ghumon ki dawa neend bhi magar Hotey hain aise ghum bhi jo sone nahi detey. Usne samjha hi nahi aur na samjhna chaha Ke main chahta bhi kiya tha usse, sirf uske siwa

Sukoon Ki Talash Mein Hum Dil Bechne Nikle. Khareedar Dard Bhi De Gaya, aur dil Bhi Le Gaya..

Sukoon Ki Talash Mein Hum Dil Bechne Nikle.. Khareedar Dard Bhi De Gaya, aur dil Bhi Le Gaya.. Apne Wajood Par Itna Na Itra�Aye Zindagi.. Wo To Maut Hai Jo Tujhe Mohlat Deti Ja Rahi Hai.. Tujhse badh kar koi Azab nahi.. Ae Mohabbat tera jawab nahi

Chale jayenge tujhe tere haal par chhodkar, Kadar kya hoti hai tujhe waqt sikha dega

Chale jayenge tujhe tere haal par chhodkar, Kadar kya hoti hai tujhe waqt sikha dega.. Bura hamesha wahi banta hai, Jo achha banke toot chuka hota hai.. Zaruri nahi ki har samay labon par khuda ka naam aaye, Wo lamha bhi ibadat ka hota hai jab insaan kisi ke kaam aaye

Teri Talab Ki Hud Ne Aisa Junoon Bakhsha, Hum Khud Ko Bhool Baithe Tujhe Yaad Karte Karte.

Teri Talab Ki Hud Ne Aisa Junoon Bakhsha, Hum Khud Ko Bhool Baithe Tujhe Yaad Karte Karte. Kuch Pal Ke Liye Humein Apni Bahon Mein Sula Do. Aagr Ankhein Kholi To Utha Dena Na Kholi To Dafna Dena. Zindagi Tujhse Hume Koi Tamanna Kab Thi.. Hum Toh Is Aas Pe Jeete Hain Ki Marna Kab Hai.

Dard Banke Dil Mein Chhupa Kaun Hai Reh-Reh Kar Isme Chubhta Kaun Hai

Dard Banke Dil Mein Chhupa Kaun Hai Reh-Reh Kar Isme Chubhta Kaun Hai Ek Taraf Dil Hai Aur Ek Taraf Aaina Dekhna Hai Is Baar Pehle Tut-ta Kaun Hai..

Na koi kisi se door hota hai, Na koi kisi ke kareeb hota hai, Pyar khud chal kar aata hai

Na koi kisi se door hota hai, Na koi kisi ke kareeb hota hai, Pyar khud chal kar aata hai, Jab koi Kisi ka naseeb hota hai!

Dard Meetha Ho To Ruk Ruk ke Kasak Hoti Hai, Yaad Gehri Ho To Tham Tham Ke Qaraar Aata Hai.

Dard Meetha Ho To Ruk Ruk ke Kasak Hoti Hai, Yaad Gehri Ho To Tham Tham Ke Qaraar Aata Hai. 2. Jaane Wale To Ek Din Bin Bataye chale Jate Hai Roz To Wo Marte Hai Jo Khud Se Zyada unko Chahte Hai. 3. Mujh Mein Khushboo Basi Usi Ki Hai Jaise Yeh Zindagi Usi Ki Hai Wo Kahin Aas Paas Hai Moujood Hoo-Bahoo Yeh Hansi Usi Ki Ha.

Tumhari Dunya Se Chale Jane Ke Baad Hum Tumhe Har Ek Tare Mein Nazar Aaya Karenge

Tumhari Dunya Se Chale Jane Ke Baad Hum Tumhe Har Ek Tare Mein Nazar Aaya Karenge Tum Har Pal Koi Dua Mang Lena Aur Hum Har Bar Toot Jaya Karenge.

Waqt ki keemat koi us akhbar se pooche, Din beet jane ke baad jiski koi keemat nahi hoti

Waqt ki keemat koi us akhbar se pooche, Din beet jane ke baad jiski koi keemat nahi hoti.. Wahi kisse, wahi kahaniyan milengi mujh mein, Main koi akhbar nahi jo roz badal jaun.. De gaya yaad ka dariya,apni aaghosh ki kashti, Usko hume zinda rakhna tha ya mitani thi hasti

Tere Siwa Bhi Kuch Rang Khush Nazer The Magar, Jo TujhKo Dekh Chuka Ho Wo Aur Kya Dekhe.

Tere Siwa Bhi Kuch Rang Khush Nazer The Magar, Jo TujhKo Dekh Chuka Ho Wo Aur Kya Dekhe. 2. Umr Ek Aisi Bhi Hoti Hai Jis Mein Dil Ko, Achhi Lagti Hai Her Ek Baat Haqeeqat Ke Siwa. 3. Matlab Ki Duniya Thi Isilye Chhod Diya Sab Se Milna Warna Yeh Chhoti Si Umar Tanhai Ke Qabil To Na Thi.

Aks to the maujood par aks tanhai ke the, Aaina to tha magar usme terachehra na tha

Aks to the maujood par aks tanhai ke the, Aaina to tha magar usme terachehra na tha.. 2. Raat bhar uski hi aahat kaan mein mere aati rahi, Jhaank kar dekha gali mein to koi aay ana tha.. 3. Fansle aise bhi honge yeh kabhi socha na tha, Samne Baitha tha mere aur vo mera na tha.
Na mera pyar kum hua na unki nafrat, Apna apna farz tha dono ada kar gaye.. Har waqt har lamha bas tera hi tera khyal, Na jane kaun se karz ki kisht ho tum.. Badi tabdeeliyan layi hun apne-aap mein lekin, Tujhe yaad karne ki aadat mujhme ab bhi hai.

Ab Se Badal Liye Hain Hamne Zindagi Ke Usool, Jo Yaad Karega Wahi Yaad Rahega

Ab Se Badal Liye Hain Hamne Zindagi Ke Usool, Jo Yaad Karega Wahi Yaad Rahega.. Parindon ki fitrat se aaye the vo hamare dil mein, Zara sa pankh kya nikal aaye ki aashiyana chhod gaye.. Jo sirfire hote hain itihaas vo hi likhte hain, Samajhdar to sirf use padte hain.

Har ek se tallukat tera mujhe gwara nahi, jab dil ek hai to chahatein beshumar kyun

Har ek se tallukat tera mujhe gwara nahi, jab dil ek hai to chahatein beshumar kyun.. 2. Us pe aati hai mohabbat aise, Jhoot pe jaise yakeen aata hai.. 3. Miloon kisi se bhi woh darmiyaan rehta hai, Woh jo mila nahin, ussi ka dheyaan rehta hai

Mera naam lekar mujhe Kosta to hai, Nafrat se hi sahi par wo mujhe sochta to hai.

Mera naam lekar mujhe Kosta to hai, Nafrat se hi sahi par wo mujhe sochta to hai.. 2. Neelam kuch is qadar hue, bazaar-e-wafa mein hum aaj, Boli lagane wale bhi vo hi the jo kabhi jholi failakar manga karte the.. 3. Humne usko itna dekha jitna dekha ja sakta tha, Phir bhi do aankhon se kitna dekha ja sakta tha

Jee bhar ke rote hain to qarar Milta hai.. Is jahan mein kahan sabko pyar milta hai

Jee bhar ke rote hain to qarar Milta hai.. Is jahan mein kahan sabko pyar milta hai.. Zindagi guzar jati hai imtihano ke daur se.. Ek zakhm bharta hai to dusra taiyyar milta hai.

Mujhe kehna nahi aata kaise kahun, Mujhe jatana nahi aata kaise bataun

Mujhe kehna nahi aata kaise kahun, Mujhe jatana nahi aata kaise bataun, Bas jaan lo tum itna, Hui hai dil mein ek dastak,Ke kahin wo tum hi to nahi.

Ek shaks kitabon jaisa tha, Woh shaks zubani yaad hua

Ek shaks kitabon jaisa tha, Woh shaks zubani yaad hua.. Khud pe beeti to rote ho, sisaskte ho, Woh jo hum ne kiya tha, kya ishq nahi tha.. Tod do na wo qasam jo khai hai, kabhi kabhi yaad kar lene main kya burai hai..

Milna ho to aise milo ke judaa hone ki zaroorat na ho Kehna ho to kuch aise kaho, Ke zubaan ko bhi izazat na ho

Milna ho to aise milo, ke judaa hone ki zaroorat na ho, Kehna ho to kuch aise kaho, Ke zubaan ko bhi izazat na ho, Pyaar karo zindagi bhar ke liye, Do pal ke koi chahat na ho..

Meri aarzoo mera makam Wo hai Meri zindagi ki subah or sham Wo hai

Meri aarzoo mera makam Wo hai Meri zindagi ki subah or sham Wo hai Wo hai to sab kuch hai mere naseeb mein Meri ibadat bhi Wo mera anjam Wo hai Kaun kehta hai ki ishq mukammal Nahi hota Mujhse mile zamane ke liye mera paigam Wo hai.

Tu Khamosh Kyon Hai Ye To Maloom Nahi Magar Dil Doob Sa Jata Hai Jab Tu Khamosh Hota Hai

Tu Khamosh Kyon Hai Ye To Maloom Nahi Magar Dil Doob Sa Jata Hai Jab Tu Khamosh Hota Hai Yakeen Hai Ki Na Aayega Mujhse Milne Koi To Phir Yeh Dil Ko Mere Intezar Kaisa Hai Jab Hui Thi Mohabbat To Laga Kisi Achhe Kaam Ka Asar Hai Khabar Na Thi Humein Ki Gunahon Ki Aisi Bhi Sazaa Hoti Hai ?

Teri palkon pe aaj main apne khwab tamam rakh dun.Aaj tere liye kyun na main mohabbat ka paigam likh dun.

Teri palkon pe aaj main apne khwab tamam rakh dun. Aaj tere liye kyun na main mohabbat ka paigam likh dun. Do lafz kehna to sabhi jante hain husn ki tarif mein. Tu kahe to dekh meri teri tarif mein jane kitne kalam likh dun.

Maine kaha bohat pyaar aata hai ap par, Woh muskara kar bole tumhe aur aata kya hai..

Maine kaha bohat pyaar aata hai ap par, Woh muskara kar bole tumhe aur aata kya hai..  Subah subah uthta hoo kamane ke kiye,, Aaram chodna padhta hai aaram paane ke liye.. Is Qadar bura sulook kiya mere Sanam ne mujhse, Ke raqeeb Bhi ro pade mera Hashar dekh kar..

Kuch to baat hai tujhme jo tujhe yaad karne ko ji chahta hai.

Kuch to baat hai tujhme jo tujhe yaad karne ko ji chahta hai. Kuch khas hai jo tujhe bahon mein bharne ko ji chahta hai. Hum tere kareeb hain ya nahi ye jante nahi hai magar dilbar. Fir bhi mohabbat mein hadd se guzarne ko ji chahta hai.

Maut Se Keh Do Ki Hum Se Narazgi Khatam Kar le Ab.Wo Bahut Badal Gaye Hai Jinke Liye Hum Jiya Karte Hain

Maut Se Keh Do Ki Hum Se Narazgi Khatam Kar le Ab.. Wo Bahut Badal Gaye Hai Jinke Liye Hum Jiya Karte Hain.. Tu hosh mein thi phir bhi hume pehchaan na payi.. Ek hum hain ki pee kar bhi tera naam lete rehte hai.. Tum rakh na sakoge mera tohfa sambhal kar.. Warna abhi dil de deta apne sine se nikal kar.

Ek Pehchan Hazaron Dost Bana Deti Hai Ek Muskaan Hazaron Ghum Bhula Deti Hai

Ek Pehchan Hazaron Dost Bana Deti Hai Ek Muskaan Hazaron Ghum Bhula Deti Hai Zindagi Ke Safar Mein Sambhal Kar Chalna Ek Galti Hazaron Sapne Jala Kar Rakh Deti Hai

Karo phir se koi wada, kabhi na phir bichhadne ka Tumhein kya faraq padta hai chalo phir se mukar jana

Karo phir se koi wada, kabhi na phir bichhadne ka Tumhein kya faraq padta hai chalo phir se mukar jana.. Meri khamoshi tumhein rulayegi Zara yeh waqat beet jane do.. Auron se to umeed ka rishta bhi nahi tha Tum itne badal jaoge socha bi nai tha

Hasrat hai sirf pane ki, Aur koi khwahish nahi is diwane ki,

Hasrat hai sirf pane ki, Aur koi khwahish nahi is diwane ki, Shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai, kya jarurat thi tumhe itna khubsurat banane ki.

Chahat, Fikar, Taqdeer, Isqh-Mohabbat, aur Wafa Meri In Hi Adaton Ne Mera Tamasha Bana Diya

Chahat, Fikar, Taqdeer, Isqh-Mohabbat, aur Wafa Meri In Hi Adaton Ne Mera Tamasha Bana Diya.. Har koi Deta Hai Zakhm Gin Gin ke bewajah Main Kis kis Zakhm Ko Apna Naseeb Samjhoon.. Nahi Milti wafa ab un pyar ke rishton mein, Duniya mein Logon ke badal jane ki rasm Aam ho gayi hai.

Tere naam ko apne hontho pe sajaya hai maine, Teri ruh ko apne dil mein basaya hai maine

Tere naam ko apne hontho pe sajaya hai maine, Teri ruh ko apne dil mein basaya hai maine, Duniya tumhe dhondte dhondte ho jayegi pagal Dil ke aise kone mein chhupaya hain maine.

Meri Tanhai ka mujhe gila nahi, Kya hua jab koi mujhe mila nahi,

Meri Tanhai ka mujhe gila nahi, Kya hua jab koi mujhe mila nahi, Phir bhi dua karenge aapke vaaste, Aap ko wo sab mile, jo mujhe mila nahi.

Kash hum bhi hote ghalib ki tarah shayari ke badshah Tujhe rulate teri hi bewafai ke sher suna kar

Kash hum bhi hote ghalib ki tarah shayari ke badshah Tujhe rulate teri hi bewafai ke sher suna kar.. Sab chahte hain mujhe,par mera koi nahi, Main is shehar mein urdu ki tarah hun. Kaisi Baatein Karte Ho Sahab Main Lafzon Se Bhi Na Khelu Zamana To Dilon Se Khelta Hai

Main Dil Pe Jabar Karunga, Tujhe Bhula Dunga, Marunga Khud Bhi Tujhe Bhi Kadi Saza Dunga

Main Dil Pe Jabar Karunga, Tujhe Bhula Dunga, Marunga Khud Bhi Tujhe Bhi Kadi Saza Dunga.. Hawa khilaf thi lekin chirag bhi khoob jala, Khuda bhi apne hone ke kya kya saboot deta hai.. Tu bhi kabhi mehsoos kare kya hai bikharne ki tadap, Ek roz baji yun saje, sheesha tera, patthar mera

Tum Ek Aisa Ehsaas Ho Mere Liye Jiske Aage, Duniya Ke Sare Lafz Kam Pad Jaate Hain

Tum Ek Aisa Ehsaas Ho Mere Liye Jiske Aage, Duniya Ke Sare Lafz Kam Pad Jaate Hain.. Bharne ko toh har zakham bhar jayega, Kaise bharegi wo jagah jahan teri kami hogi.. Talash Kar Meri Kabhi Apne Dil Mein, Dard Hua To Samajh Lena Mohabbat Abhi Baki Hai

Mohabbat mein mili tanhaai ka, Yeh aalam bhi kitna ajeeb hota hai

Mohabbat mein mili tanhaai ka, Yeh aalam bhi kitna ajeeb hota hai, Hazaaro apne ho sath hamare, Fir bhi wo shaks yaad aa hi jata hai.

Ek hi shaks se matlab tha Wo bhi matlabi nikla

Ek hi shaks se matlab tha Wo bhi matlabi nikla.. Karne ko bahut kaam the apne liye magar Humko tere khayal se bhi fursat na mili.. Lage ho na bhul jane mein mujhe, Masoom si dua hai dil ki, Tumhari koshishon mein nakaam raho tum..

Main khas to nahi magar barish ke un katron ki tarah anmol hun

Main khas to nahi magar barish ke un katron ki tarah anmol hun Jo agar ek baar mitti mein sama jaye to phir kabhi mila nahi karte. Zindagi to zindagi bus yunhi guzar jayegi Lekin ehsaas marne se pahle kuch keh diya Karo. Shikwe gilon ko chhod ke pehlu mein aa ke baith Aa phir naye sire se mohabbat shuru karein

Dil ki tanhai mein yaad ke zakhm Bahut gehre hain Koi bhi paas nahi jo Haath pakad k itna keh de Ki

Dil ki tanhai mein yaad ke zakhm Bahut gehre hain Koi bhi paas nahi jo Haath pakad k itna keh de Ki Mat ho pareshan, Aaj Se Hum Sirf Tere Hain.

Pyar Karke Jate Yeh Zaruri To Nahi, Yaad Karke Koi Bataye Yeh Zaruri To Nahi

Pyar Karke Jate Yeh Zaruri To Nahi, Yaad Karke Koi Bataye Yeh Zaruri To Nahi, Rone Wala To Dil Mein Hi Ro Leta Hai, Aankh Mein Aansu Aye Yeh Zaruri To Nahi.

Neende meri churake muskurane wale, Roya karoge tum bhi mujhko rulane wale

Neende meri churake muskurane wale, Roya karoge tum bhi mujhko rulane wale.. Mujhko pirone wale tu dekh zara, Main dana dana bikhar raha hun.. Ab aur kya dekhne ko baaki hai, Tumse dil jo laga kar dekh liya.

Sau baar kaha dil se Chal bhul bhi ja usko Sau baar kaha dil ne Tum dil se ni kahte

Sau baar kaha dil se Chal bhul bhi ja usko Sau baar kaha dil ne Tum dil se ni kahte

Mujhse mat puch ki kyun aankhein jhuka li maine, Teri tasveer thi in aankhon mein woh tujhi se chhupa li maine

Mujhse mat puch ki kyun aankhein jhuka li maine, Teri tasveer thi in aankhon mein woh tujhi se chhupa li maine.. 2. Mat pucho mujhse ki main alfaz kaha se lati hun, Yeh to uski yaadon ka dariya hai jise bahaye jati hun.. 3. Kitni Masoom Si Duniya Hai Meri, Ek Main Hoon Aur Ek Mohabbat Teri..

Muddaton ke baad usko kisi ke sath khush dekha to ehsaas hua, Kash ki usko bahut pehle hi chhod diya hota

Muddaton ke baad usko kisi ke sath khush dekha to ehsaas hua, Kash ki usko bahut pehle hi chhod diya hota.. 2. Jo ho sake to chale aao aaj meri taraf, Mile bhi der ho gayi aur ji bhi udaas hai.. 3. Jaan tak dene ki baat hoti hai yahan, Magar afsos dua tak dil se nahi dete log.

Aaj Apne Pariwar Ke Liye Maine Mera Pyar Kho Diya

Aaj Apne Pariwar Ke Liye Maine Mera Pyar Kho Diya Yeh Dard Sehne Ke Baad Bhi Logon Ne Mujhe Bewafa Keh Diya Main Khudko Maaf Nahin Kar Paungi Kabhi Yeh Use Samjha Nahi Paungi Kabhi Tum Jab Aaogi Uski Zindagi Mein, Use Sambhal Lena Bhul Jaye Wo Mujhe Use Itna Pyar Dena Use Mitha Nahi Pasand Khayal Rakhna Sardiyon Mein Bimar Ho Jata Hai Dhyan Rakhna Kabhi Kabhi Bahut Gussa Ho Jata Hai Use Gusse Mein Kabhi Kuch Karne Mat Dena Use Baarishon Mein Kabhi Akele Mat Rehne Dena Dur Jaye Kabhi To Uska Hath Tham Lena Tumhe Wakt Na De Paye To Naraz Mat Hona Kabhi Mujhe Yaad Kar Baithe To Use Chhod Ke Mat Jana Bas Use Kas Ke Apni Baahon Mein Bhar Lena Bhulega Wo Sab kuch Ek Din Bhul Jayega Wo Mujhe Ek Din.

Meri yaadon mein tum ho ya mujh mein hi tum ho, Mere khayalon mein tum ho ya khayal hi tum ho

Meri yaadon mein tum ho ya mujh mein hi tum ho, Mere khayalon mein tum ho ya khayal hi tum ho, Dil mera dhadak ke baar baar ye puche, Meri jaan mein tum ho ya meri jaan hi tum ho..

Meri awargi mein thoda kusoor uska bhi hai, Jab uski yaad aati hai to humein har acha nahi lagta

Meri awargi mein thoda kusoor uska bhi hai, Jab uski yaad aati hai to humein har acha nahi lagta.. Aakhon ki nami aur ummeed ki kami, Insaan ko kamzor bana deti hai.. Na karo numaish apne zakhmo ki yaaron, Log haathon mein namak lekar ghumte hain.

Hum yaad rahe to thik warna bhula dena, Hui ho hum se koi khata to saza dena

Hum yaad rahe to thik warna bhula dena, Hui ho hum se koi khata to saza dena, Hum to ek kore kagaz ki tarah hain, Kuch likho to thik warna jala dena

Apni nazar se na dekh apni khubsurti ko, Tjhe heera bhi pathar lagega

Apni nazar se na dekh apni khubsurti ko, Tjhe heera bhi pathar lagega, Log kehte hain tu chand ka tukda hai, Magar tu meri nazar se dekh chand tera tukda lagega

Ishq kabhi jhootha nahi hota, Jhuthi to bus baatein hoti hain

Ishq kabhi jhootha nahi hota, Jhuthi to bus baatein hoti hain.. Kitni ajeeb hai mere andar ki tanhai bhi, Hazaron apne hai magar yaad tum hi aate ho.. Dhundhne chal the hum ek shaks ki chahat, Khud o hi kho diya uski mohabbat mein

Ishq ka apna hi ek usool hai, Yeh kal bhi bewafah tha aur aaj bhi hai

Ishq ka apna hi ek usool hai, Yeh kal bhi bewafah tha aur aaj bhi hai.. Wafa ki Mauj masti mein ab bhi badshah hain hum, Do dil ko tod dete hain hum unhe chhod dete hain.. Is Mohabbat ki kitab ke do hi sabak yaad hue, Kuch tum jaisa abaad hue,kuch hum jaise barbaad hue.

Fasle itne to na pahle hua karte the, Main wahi hun jise tum apna kaha karte the

Fasle itne to na pahle hua karte the, Main wahi hun jise tum apna kaha karte the, Tum agar bhul gaye Humko to koi baat nahi, Zakham to pehle Bhi is dil pe laga karte the.

Dil ki khwahish bus itni si hai meri, Tumse mulaqat ho, anjaam kuch bhi ho

Dil ki khwahish bus itni si hai meri, Tumse mulaqat ho, anjaam kuch bhi ho.. Wahin dilkash muskurahat,wahin adaayein, wahin tevar, Lagta hai aaj fir koi zindagi bemaut marne wali hai.. Bas tumhe Paane Ki Tammana Nahi Rahi, Mohabbat To aaj Bhi Beshumar Hai

Galti KarKe Woh Galti Ka Naam Puchhte Hain, Dard Dekar Woh Dawa Ka Naam Puchhte Hain

Galti KarKe Woh Galti Ka Naam Puchhte Hain, Dard Dekar Woh Dawa Ka Naam Puchhte Hain, Mar Gaye Hum Unki Isi Ada Pe, Hokar Meri Jaan Meri Jaan Ka Naam Puchhte Hain

Kisi udas mausam mein, Meri ankhon pe wo hath rakh de apna

Kisi udas mausam mein, Meri ankhon pe wo hath rakh de apna, Aur hunsti hui keh de, Pehchan lo to hum tumhare Na pehchano to tum humare..

Ab Ke Barish Mein Kuch Aisa Karna, Apni Hatheli Pe Qatron ko Jama Karna

Ab Ke Barish Mein Kuch Aisa Karna, Apni Hatheli Pe Qatron ko Jama Karna, Jo Jama Ho Jayen Wo Sab Teri Chahat, Aur Jo Reh Jayen Wo Sab Meri Chahat..

Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Yeh Sama, Apni Palkon Pe Hargiz Sitare Na Layenge

Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Yeh Sama, Apni Palkon Pe Hargiz Sitare Na Layenge, Rakhna Sanbhal Kar Chand Khushiyan Mere Liye, Mein Laut Aaunga To EID Manayenge.

Jitna Chahte Hain Tumko, Kash Chahti Utna Tum MujhKo,

Jitna Chahte Hain Tumko, Kash Chahti Utna Tum MujhKo, Agar Tum Mil Jati MujhKo, To Dunya Ki Har Khushi Mil Jati TujhKo..

Main chahta hi na tha use Lajawab karna, Warna jawab mere paas us ke har sawal ka tha

Main chahta hi na tha use Lajawab karna, Warna jawab mere paas us ke har sawal ka tha, Uski jeet se hoti thi khushi mujhko, Yahi jawab mere pas apni haar ka tha.

Reh na paoge bhula kar dekh lo, Yakin na aaye to aazma kar dekh lo

Reh na paoge bhula kar dekh lo, Yakin na aaye to aazma kar dekh lo, Har jagah mehsus hogi meri kami, Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo..

Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai Karke Mohabbat Kisi Se Yeh Dil Rota Hai

Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai Karke Mohabbat Kisi Se Yeh Dil Rota Hai Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai Jab kisi Se Mohabbat Ho Aur Uske Dil Mein Koi Aur Hota Hai

Yeh Duniya isliye buri nahi ke yahan bure log yada hain

Yeh Duniya isliye buri nahi ke yahan bure log yada hain, Balki isliye buri hai ki yahan ache log khamosh hain.. 2. Bichhad kar fir milenge yakeen kitna tha, Beshak khwab hi tha maagar haseen kitna tha.. 3. Intezar, izhar, Ibadat sab to kiya maine, Aur kaise bataun ki pyar ki gehrai kya hai..

Bahut Chaha Use Magar Vo Mila Hi Nahi, Lakh Koshish Ki Magar Faasla Mita Hi Nahi

Bahut Chaha Use Magar Vo Mila Hi Nahi, Lakh Koshish Ki Magar Faasla Mita Hi Nahi, Us Ko Zamane Ne Is Kadar Majboor Kar Diya, Ki Vo Meri Kisi adda Pe Thehra Hi Nahi, Har ek Se Pucha Sabab Us Ke Na Milne Ka, Har ek Ne Kaha Vo Tere Liye Bana Hi Nahi, Main Tamam Koshishon Ke bawjood Haar Gayi, Aur Vo Usse Mil Gaya Jisne Usse Manga Hi Nahi, Itni Shiddat Se Chaha Use Aur Vo Kisi Aur Ka Ho Gaya, Shayad Is Jahan Mein Waffa Ka Koi Sila Hi Nahi.

Jab Raat me Aapko Kisiki Yaad Sataye, Suhani Hawa Jab Apke Balo Ko Sahelaye

Jab Raat me Aapko Kisiki Yaad Sataye, Suhani Hawa Jab Apke Balo Ko Sahelaye, To Karlo Apni Ankhein Bandh Aur So Jao, Kya Pataa Mann Me He Jiska Khayal, Kahi Wo Aapke Khwabo Me Aa Jaye.

Chandni Ne Ek Pyari si Palkhi Banayi Hai

Chandni Ne Ek Pyari si Palkhi Banayi Hai, Aur Ye Palkhi Hamne Bade hi Pyaar Se Sajayi Hai, E Haawa Tu Zara Dheere Chalna, Mere Yaar Ko Baadi Pyaari Neend Aayi Hai

Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge, Suni si rahon mein phool hum bicha denge

Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge, Suni si rahon mein phool hum bicha denge, Hamare sang muskura kar toh dekhiye, Hum aapka har gham bhula denge

Chahenge tumhe par kabhi ruswa na karenge. Saye se bhi apne kabhi shikwa na karenge

Chahenge tumhe par kabhi ruswa na karenge. Saye se bhi apne kabhi shikwa na karenge. Puchhenge hawaon se ghataon se tera haal, Milne ki kabhi dua na karenge.

Na itne kadwe bano ki koi thu de, Aur na hi itne meethe o koi nigal jaye

Na itne kadwe bano ki koi thu de, Aur na hi itne meethe o koi nigal jaye.. Buri khabar yeh hai ki samay kum hai, Par achi yeh hai ki abhi bhi samay hai.. Jo khoya hai uska gum nahi, Lekin jo paya hai vo kisi se kum nahi.. Jo nahi hai vo khwab hai aur jo hai vo lajawab hai

Ho gayi hai raat, aasman mein nikal aye hai sitare, Panchhi sare so gaye, kya khub hai nazare

Ho gayi hai raat, aasman mein nikal aye hai sitare, Panchhi sare so gaye, kya khub hai nazare, Aap bhi so jaiye is Mahekti raat mein, Dekhiye Sweet Dreams suhane pyare

Teri wafa ne mujhe khud par sitam karne na diya, Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya

Teri wafa ne mujhe khud par sitam karne na diya, Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya, Maine samhja hai khud ko sada amanat teri, Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya.

Dil ne socha khat likhu par Mili na shayari yaar wali Fir socha phool bheju par

Dil ne socha khat likhu par Mili na shayari yaar wali Fir socha phool bheju par Mili na dali gulab wali Sms bhej raha hu taki Tute na dosti pyar wali.

Dar tha tumhe kho denge isliye kabhi paa na sake Yaadon ko teri magar dil se bhula na sake

Dar tha tumhe kho denge isliye kabhi paa na sake Yaadon ko teri magar dil se bhula na sake Shikwaa aaj bhi hai tere door jaane ka Naam to honton pe tha par kabhi bula na sake.

Socha tha us bewakuf ko bhul jaayenge, Dekh ker bhi andekha ker jaayenge

Socha tha us bewakuf ko bhul jaayenge, Dekh ker bhi andekha ker jaayenge, Par,Jaise hi wo saamne aaye wo hasi chehra, Socha is baar dekh lu agli baar bhul jaayenge.

Itna kuch hoke bhi humein paana na aaya, Pyaar itna kiya par jatana na aaya

Itna kuch hoke bhi humein paana na aaya, Pyaar itna kiya par jatana na aaya, Wo toh aa gaye is dil mein, Kasoor humara hai jo humein unke dil mein samana na aaya.

Kisi ek se karo pyaar itna, Ke kisi aur se pyaar karne ki gunjaish na rahe

Kisi ek se karo pyaar itna, Ke kisi aur se pyaar karne ki gunjaish na rahe, Woh muskrade aap ko dekh kar ek bar, Toh zinadgi se phir koi khwahish na rahe

Duniya ko haqiqat meri pata kuch bhi nahi.. Ilzaam hazaron hain aur khata kuch bhi nahi

Duniya ko haqiqat meri pata kuch bhi nahi.. Ilzaam hazaron hain aur khata kuch bhi nahi.. Mere dil mein kya hai yeh padh na sakoge.. Sare panne bhare hain aur likha kuch bhi nahi

Tumhe Chahta Hai Kyun Itna Yeh Dil Ke Ab Dil pe Bas Na Chale

Tumhe Chahta Hai Kyun Itna Yeh Dil Ke Ab Dil pe Bas Na Chale, Bahut Din se Is Dil ki Zidd Hai Sanam Tumhe Hum Laga Le Gale, Tumse Milneki Ab To Chahat Hai, Tum Kya Jano Dil ki Kya Halat Hai

Ghabra ke shahar chodd gaya kis kaam ka Buzdil, Banta tha maseeha bas naam ka Buzdil

Ghabra ke shahar chodd gaya kis kaam ka Buzdil, Banta tha maseeha bas naam ka Buzdil.. Ab usko Yaad bhi Karta hun pooch Kar us se, Ye Naubat aagayi hai Shartain Kabool karte hue.. Ishq-o-Mohabbat se bhari gazal usse pasand nahi, Bewafai ke har sher par woh daad diya karte hai

Ek Ajeeb Se Betaabi Hai Ae Jaan-e-Ada, Tum Bin Reh Bhi Lete Hai Aur Raha Bhi Nahi Jata.

Ek Ajeeb Se Betaabi Hai Ae Jaan-e-Ada, Tum Bin Reh Bhi Lete Hai Aur Raha Bhi Nahi Jata.. Sawaal Karke Main Khud Hi Bahut Pashema�n Hun, Jawaab De Ke Mujhe Aur Sharmsaar Na Kar. Likhna to yeh tha, khush hun tere bagair bhi, Par kalam se pehle, aansu kagaz par gir gaya.

Kitni pi, Kaise kati raat, Muhe hosh nahi Raat ke sath gayi baay, Mujhe hosh nahi

Kitni pi, Kaise kati raat, Muhe hosh nahi Raat ke sath gayi baay, Mujhe hosh nahi.. Hans kar kubool kya kar li har sazaa humne, Dastur bana liya unhone bhi, ilzaam lagane ka.. Kharch karta hun saason ki rakam teri yaadon par, Log mehengi kehte hain muhko sasti lagti hai

Vo bante hain humse anjaane yun, Chhupate hain humse jane kyun

Vo bante hain humse anjaane yun, Chhupate hain humse jane kyun, Ki vo kisi aur se mohabbat karte hain, Magar kya sache premi bhi dard se darte hain.

Vo kehte hain humne unka saath nahi nibhaya, Unki mohabbat mein bahut khoya kum paya

Vo kehte hain humne unka saath nahi nibhaya, Unki mohabbat mein bahut khoya kum paya, Lekin ulfat-e-kashmhash mein, Mera sanam hi mujhe pehchaan nahi paya.

Muskurahat Tumhi Se Milti Hai Dard Ko Raahat Tumhi Se Milti Hai

Muskurahat Tumhi Se Milti Hai Dard Ko Raahat Tumhi Se Milti Hai Ruthna Kabhi Mat Humse E Dosto Hume Jeene Ki Chahat Aap Se Hi Milti hai

Humne socha bhi na tha yeh din bhi aayega, Koi apna doosron ka ban jayega

Humne socha bhi na tha yeh din bhi aayega, Koi apna doosron ka ban jayega, Jiske liye sapne dehke vahi, Mujhse mera sapna chura le jayega.

Sharm pasand hai hume aapki Magar itna bhi na sharmaya karo

Sharm pasand hai hume aapki Magar itna bhi na sharmaya karo, Yeh deewana fida hai tumhari nazaron par, Humse nazrein to na churaya karo.

Khushi Ke Aasu Rukne Na Dena Gum Ke Aasu Bahne Na Dena

Khushi Ke Aasu Rukne Na Dena, Gum Ke Aasu Bahne Na Dena, Yeh Zindagi Na Jane Kab Ruk Jayegi Magar, Yeh Pyari Si Relationsip Kabhi Tutne Na Dena.

Agar kismat aazmate aazmate thak gaye ho, To kabhi khud ko aazmaiye nateeje behtar honge

Agar kismat aazmate aazmate thak gaye ho, To kabhi khud ko aazmaiye nateeje behtar honge.. Parda to hosh walon se kiye jata hai, Benaqab chale aao hum to nashe mein hain.. Maine kaha aaj jhooth ka din hai doston, Vo muskura kar boli to fir tum mere ho

Main jahan bhi rahu Rahenge Mere sath

Main jahan bhi rahu, Rahenge Mere sath.. Teri Guftago Ke mousam� Teri zikr ke zamane.. Tujhe Seene Se Laga Kar Yeh Ehsas Hota Hai Jaise Meri Dunia Simat Gayi Hai Inhi Baanhon Mein.. Tujhse Haaru To Jeet Jati Hu.. Teri Khushiya Aziz Hain Itni..

Shayari Wo Kisi Ki Dil Lagi Ko Saza Samjhne Lage, Do Pal Ruth Ke Guzare, To Jafa Samjhne Lage

Wo Kisi Ki Dil Lagi Ko Saza Samjhne Lage, Do Pal Ruth Ke Guzare, To Jafa Samjhne Lage, Wo Kya Jaane Ke Hum Kitna Roye Unke Bagair, Wo to bas yuhi Mujhe Bewafa Samjhne Lage.

Shayari Beimaan hai tu farebi hai tu. Yakin tha Jo aaj chur ho gya

Beimaan hai tu farebi hai tu. Yakin tha Jo aaj chur ho gya. Kisi bhi kabil nahi hai tu. Tera zikr bhi karun ab is kabil nahi hai tu. Ab mere kisi kam ka nahi hai tu.

Shayari Yaar kabhi pyar se khafa nahi hote, Mile dil kabhi juda nahi hote

Yaar kabhi pyar se khafa nahi hote, Mile dil kabhi juda nahi hote, Bhula dena uski kamiyon ko kyunki, Yaar kabhi khuda nahi hote.

Shayari Har Udaasi Dil Par Chayi Hui, Har Khushi Hai Mujse Ghabrai Hui

Har Udaasi Dil Par Chayi Hui, Har Khushi Hai Mujse Ghabrai Hui, Aur Kya Rakha Hai Zindagi Ke Daaman Mein, Chand Kaliya Hai Vo Bhi Murjhaai Hui.

Shayari Hum se khelti rahi duniya tash ke patton ki tarah, Jisne jeeta usne bhi feka jisne hara usne bhi feka

Hum se khelti rahi duniya tash ke patton ki tarah, Jisne jeeta usne bhi feka jisne hara usne bhi feka.. Marne ke baad khuda puchega hisaab do, Hum kahenge yeh lo gilaas pehle hume sharab do.. Tere bare mein jab socha nahi tha, Main tanha tha magar itna nahi tha

Shayari Hamare liye unke dil mai chahat na thi, Kisi khushi mai koi Dawat na thi

Hamare liye unke dil mai chahat na thi, Kisi khushi mai koi Dawat na thi, Maine Dil unke kadmo mai Rakh Diya, Par zameen par Dekhne ki unki Aadat na thi

Shayari Zindagi mein do cheez kkabhi na kijiye

Zindagi mein do cheez kkabhi na kijiye, Jhoothi ladki ke sath prem and sacchi ladki ke sath game.. 2. Kaun khareedega ab heeron ke dam mein tumhare aansu Vo jo dard ka saudagar tha mohabbat chhod di usne.. 3. Kya kami thi meri dosti mein jo tumne mujhe akela chhod diya, Wafa karni nahi aayi ya main gareeb tha

Shayari Tum milo na milo milne ka koi gum nhi Tum pass se nikal jao to milne se kam nhi

Tum milo na milo milne ka koi gum nhi Tum pass se nikal jao to milne se kam nhi Mana ki tumhe kadr nahi humari Par unse puchho jinhe hum hashil nahi

Shayari Mehsoos karo to mohabbat hai, Warna log to ishq ko awaragardi bhi kehte hain

Mehsoos karo to mohabbat hai, Warna log to ishq ko awaragardi bhi kehte hain.. Main waqt ban jaun, tum ban jana koi lamha, Main tujhse guzar jaun,tu mujhse guzar jana.. Ban ke badal tum baras jati to karte shukriya, Waise guzarish ke siwa mera bus kahan hai kisi baat par

Shayari Aankhon ki saja tab tak hai jab tak didar na ho, Dil ki saja tab tak hai jab tak pyar na ho

Aankhon ki saja tab tak hai jab tak didar na ho, Dil ki saja tab tak hai jab tak pyar na ho, Yeh zindagi bhi ek saja hai ae mere dost Jab tak aap jaisa koi yar na ho.

Shayari Shayar ban na aasan nahi hai mere dost, Shabd jodne se pehle dil tudwana padta hai

Shayar ban na aasan nahi hai mere dost, Shabd jodne se pehle dil tudwana padta hai.. 2. Yeh keh kar chala gaya ke tujh jaise to hazaar milenge, Jab mere jaisa hi dhundna tha to mujhe kyun chhoda?? 3. Zindagi bhar koi sath nahi deta yeh jaan liya humne, Log to tab yaad karte hain jab vo khud akele ho

Shayari Mana ki sab kuch pa lunga main zindagi mein, Magar vo tere mehandi lage hath mere na ho sake

Mana ki sab kuch pa lunga main zindagi mein, Magar vo tere mehandi lage hath mere na ho sake.. 2. Agar tu wajah na puche to ek baat kahun, Bin tere ab humse jiya nahi jata.. 3. Jab waqt karwat leta hai to, Baziyan nahi, Zindagi palat jati hai

Shayari Zaroori To Nahi Mohabbat Lafzon Mein Bayan Ho,

Zaroori To Nahi Mohabbat Lafzon Mein Bayan Ho, Kya Sach Mein Meri Aankhen Tumhein Kuch Nahi Kehti.. 2. Khairaat Mein Mili Khushi Humein Acchi Nahi Lagti, Rehte Hain Hum Apne Dukhon Mein Nawaabon Ki Tarah.. 3. Dil sulagta hai Tere sard ravaiyye se katil, Dekh is barf ne kya aag laga rakhi hai

Shayari Mein Agar Chahun Bhi To Shayad Na Likh Sakhun Lafzon Ko

Mein Agar Chahun Bhi To Shayad Na Likh Sakhun Lafzon Ko Jinhe Padh Kar Tum Samjh Sako Ke Mujhe Tumse Kitni Mohabbat Hai

Shayari Mohabbat Kisi Se Tab Hi Karna Jab Mohabbat Ko Nibhana Seekh Lo

Mohabbat Kisi Se Tab Hi Karna Jab Mohabbat Ko Nibhana Seekh Lo�!! Majburiyoon Ka Sahara Lekar Chhod Dena Wafadari Nahi Hoti

Shayari Manzar-e-ishq mein sirf bahaarein hi samayi thi Jab tak dil mohabbat ki sacchai se anjaan tha

Manzar-e-ishq mein sirf bahaarein hi samayi thi Jab tak dil mohabbat ki sacchai se anjaan tha Mehboob mein mere jannat si khumariyan thi Jab tak dil uski bewafai se anjaan tha

Shayari Tum mukhaatib bhi ho qareeb bhi ho, Tum ko dekhen ke tum se baat karen

Tum mukhaatib bhi ho qareeb bhi ho, Tum ko dekhen ke tum se baat karen.. 2. Aag aisi lagi thi seenay main, Aankh se dil main woh utar na saka.. 3. Ab is ghar ki abaadi mehmaanon par hai, Koi aa jaye to waqt guzar jaata hai.

Shayari Jis Din Unka Didar Ho Jata Hai Us Raat Sona Dushwar Ho Jata Hai

Jis Din Unka Didar Ho Jata Hai Us Raat Sona Dushwar Ho Jata Hai Marta Hai Koi Hum Par Bhi Yeh Soch kar Apne Aap se pyar Ho Jata Hai

Shayari Mera dil ek masoom sa bacha, Tujhe sochta hai sharaarat ki tarah

Mera dil ek masoom sa bacha, Tujhe sochta hai sharaarat ki tarah.. Bass ek jhijhak hai yehi haal-e-dil sunaane mein, Ke tera zikr bhi aayega is afsaane mein.. Aaj fir mere ghar mein kaanch hi kaanch bikhre hain, Khafa the aayine se, tera aks baar baar dikhata tha

Shayari Zara sa baat karne ka saleeka seekh lo tum bhi.. Idhar tum lub hilate ho udhar dil toot jata hai

Zara sa baat karne ka saleeka seekh lo tum bhi.. Idhar tum lub hilate ho udhar dil toot jata hai.. Raaz zahir na hone do to ek baat kahun.. Main dhire dhire tere bin mar jaunga.. Mujhe dushmano se bhi khuddari ki umeed rehti hai, Sir kisa ka bhi ho kadmo mein acha nahi lagta

Shayari Khwab aankhon se gaye neend raaton se gayi.. Woh gaye to laga zindagi haathon se gayi

Khwab aankhon se gaye neend raaton se gayi.. Woh gaye to laga zindagi haathon se gayi.. Bahut dino se tha us ko na dekhne ka ranj.. Jo aaj dekha to kuch aur bhi malaal hua.. Qaraar dil ko sadaa jis ke naam se aaya.. Woh aaya bhi to kisi aur kaam se aaya

Shayari Kisi ko Dil se chahna bura to nahi, Kisi ko dil mein basana bura to nahi

Kisi ko Dil se chahna bura to nahi, Kisi ko dil mein basana bura to nahi, Gunah hoga zamane ki nazar mein to kya, Zamane wae bhi insaan hai khuda to nahi

Shayari Unhone waqt samajh kar guzaar diya humko.. Hum unhe zindagi samjhkar aaj bhi jee rahe hain

Unhone waqt samajh kar guzaar diya humko.. Hum unhe zindagi samjhkar aaj bhi jee rahe hain.. Har waqt rulata hai hadd se jyada woh.. Hum sapne mein bhi jisko rone nahi dete.. Fikr to teri ab bhi rehti hai har pal.. Bas ab jatane ka haq nahi raha hamara.

Shayari Main yeh nahi kehti ki Tumhare liye koi dua na maange

Main yeh nahi kehti ki Tumhare liye koi dua na maange Main to yeh kehti hun ki bas Koi dua mein tumhe na maange

Shayari Musibat mein se mat socho ki ab kaun kam aayega, Balki yeh socho ki ab kaun chhod ke jayega

Musibat mein se mat socho ki ab kaun kam aayega, Balki yeh socho ki ab kaun chhod ke jayega.. In lamhon ki yaadein zara sambhal ke rakhna, Hum yaad to aayenge lekin laut ke nahi.. Shayad wo jhaank lein khidki se ek baar, Yeh soch ke humne gali mein khelte bachche lada diye

Shayari Dil Karta Hai Zindagi Tujhe De Dun Zindagi Ki Saari Khusiyan Tujhe De Dun

Dil Karta Hai Zindagi Tujhe De Dun Zindagi Ki Saari Khusiyan Tujhe De Dun De De Agar Tu Mujhe Bharosa Apne Saath Ka To Yakeen Maan Apni Saanse Bhi Tujhe De Dun

Shayari Na meri koi parwah, Na hi mere haal ki koi khabar Salooq wo mujhse aajkal

Na meri koi parwah, Na hi mere haal ki koi khabar Salooq wo mujhse aajkal , Anjano jaisa karne laga hai.. 2. Kabhi dil behlane ke liye hi baat kar liya karo, Maloom to mujhe bhi hai ki hum aapko ache nahi lagte.. 3. Uski guftgoo se mujhe yeh ehsaas hua, Use ab dushwaar lagta hai mujhse talluq rakhna.

Shayari Kaise Kehde Ki Unse Milne Ki Chahat Nahi, Bekarar Dil Ko Ab Bhi Rahat Nahi

Kaise Kehde Ki Unse Milne Ki Chahat Nahi, Bekarar Dil Ko Ab Bhi Rahat Nahi, Bhula Dete Unhe Bhi Magar Kya Kare Dost, Kisi Ko Bhulane Ki Is Dil Ko Aadat Nahi

Shayari Jaane kaun se gham ko chhupane ki koshish thi unki, Aaj har baat par unko muskuraate dekha

Jaane kaun se gham ko chhupane ki koshish thi unki, Aaj har baat par unko muskuraate dekha.. Yeh samaj paao to sab kuch samaj paoge, Waqt lamhon mein khoob nazar aata hai fir bhi guzar jata hai.. Kaise Gujarti hai Meri Har Ek Shaam Tere Bagair, Agar Tu Dekhle To Kabhi Tanha Na Chhodte Mujhe

Shayari Ae barish zara thamke baras, Jab mere yaar aa jaye to jamke baras

Ae barish zara thamke baras, Jab mere yaar aa jaye to jamke baras, Pehle na baras ki woh aa na sake, Phir itna baras ki wo jaa na sake

Shayari Ek haseen pal ki zarurat hai hume. Beete hue kal ki zarurat hai hume

Ek haseen pal ki zarurat hai hume. Beete hue kal ki zarurat hai hume. Sara zamana ruth gaya humse. Jo kabhi na ruthe aise pyar ki zarurat hai hume.

Shayari Dil hai mera par dhadkan tumhari hai Kalam meri, likhayi tumhari hai

Dil hai mera par dhadkan tumhari hai Kalam meri, likhayi tumhari hai Saans meri par khushboo tumhari hai Har ghazal unki,jaan hamari hai 

Shayari Barbaad kar deti hai mohabbat har mohabbat karne wale ko, Kyunki ishq haar nahi manta

Barbaad kar deti hai mohabbat har mohabbat karne wale ko, Kyunki ishq haar nahi manta aur dil baat nahi manta.. Kabhi toot kar bikhro to mere paas aa jana, Mujhe apne jaise log bahut pasand hain.. Haq se de to teri nafrat bhi sir aankhon par, Khairaat mein to teri mohabbat bhi manzoor nahi

Shayari Koi batayega kaise dafnate hai unko, Woh khwab jo dil mein hi mar jate hain

Koi batayega kaise dafnate hai unko, Woh khwab jo dil mein hi mar jate hain.. Zindagi ki har subah kuch shartein leke aati hain, Aur zindagi ki har sham tazurbe dekar jati hai.. Maine kab kaha keemat samjho meri, Hume bikna hi hota to yun tanha na hote

Shayar Kya jane woh dil se utar kyun nahin jata, Agar shaam ka bhoola hai to ghar kyun nahin jata

Kya jane woh dil se utar kyun nahin jata, Agar shaam ka bhoola hai to ghar kyun nahin jata.. Tanha Hai To Kya Hua Yeh Waqt Bhi Hum Guzar Denge, Zindagi Nahi To Kya Hua Mout Ka Hath Hum Tham Lenge.. Umar bhar usse chaha phir bhi apna na bana paya Na jaane wo kaun si mohabbat thi jo usse hum de na sake.

Shayari Har pal nazre unko dekhna chahe to aankhon ka kya qasoor Har pal khusboo unki aaye to saanso ka kya qasoor

Har pal nazre unko dekhna chahe to aankhon ka kya qasoor Har pal khusboo unki aaye to saanso ka kya qasoor Waise to sapne puch kar nahi aate Par sapne hi unke aaye to raaton ka kya qasoor

Shayari Kitna bhi chaho na bhool paoge hume Jitni door jaoge nazdeek paoge hume

Kitna bhi chaho na bhool paoge hume Jitni door jaoge nazdeek paoge hume Mita sakte ho toh mita do yaadein meri Magar kya sanson se juda kar paoge hume

Shayari Wo mere bina khush hai to shikayat kaisi, Ab use khush bhi na dekhu to mohabbat kaisi

Wo mere bina khush hai to shikayat kaisi, Ab use khush bhi na dekhu to mohabbat kaisi.. Zindagi Tujhse Hume Koi Tamanna Kab Thi, Hum Toh Is Aas Pe Jeete Hain K Marna Kab Hai.. Kash yeh ishq bhi chunavon ki tarah hota, Harne ke baad vipaksh mein baithkar kam se kam dil kholkar bahas to kar lete

Shayari Bade gumnaam hai chahat ke raaste Tu bhi laapata main bhi laapata

Bade gumnaam hai chahat ke raaste Tu bhi laapata main bhi laapata.. Pyar karta hun tab fikr karta hun, Nafrat karunga to, jikr bhi nahi karunga.. Unki yaadon mein dil cheekh cheekh kar rota hai, Aur duniya kehti hai ishq bezuban hota hai

Shayari Ishq tujhse karti hoon Main zindagi se zyada, Main darti nahi maut se Teri judaai se zyada

Ishq tujhse karti hoon Main zindagi se zyada, Main darti nahi maut se Teri judaai se zyada, Chahe to azmale mujhe Kisi aur se zyada, Meri zindagi mein kuch nahi Teri mohabbat se zyada

Shayari Is barish ke mausam mein ajeeb si kashish hai

Is barish ke mausam mein ajeeb si kashish hai, Na chahte huye bhi koyi shiddat se yaad aata hai.. 2. Mat pucha karo mujhse ki tum mere kya lagte ho, Jis tarah Dil ki liye dhadkan zaruri hai,usi tarah mere liye tum.. 3. Kal raat barasti rahi sawan ki ghata bhi, Aur hum bhi teri yaad mein dil khol ke roye

Shayari Dil ki nazuk dhadkano ko Mere sanam tumne dhadkana sikha diya

Dil ki nazuk dhadkano ko Mere sanam tumne dhadkana sikha diya Jab se mila hai tera pyar dil ko Gham ne bhi muskurana sikha diya.

Shayari Main toh bik jaun tere naam pe maut ki tarah

. Main toh bik jaun tere naam pe maut ki tarah, Tu kabhi kharidar to ban, is zingadi ke bazaar mein.. Jab tak bika na tha to koi poochta na tha, Tune mujhe khareed ke anmol kar diya.. Suna hai aaj bik raha hai ishq baazaar mein, koi unse pooche kya wafa bhi saath dete ho.

Shayari Hum to tere dil ki mehfil sajane aye the

Hum to tere dil ki mehfil sajane aye the, Teri kasam tujhe apna banane aye the. Kis baat ki saza di tune hum ko, Bewafa hum to tere dard ko apnane aye the

Shayari Hum ne tere baad na rakhi kisi se mohabbat ki aas

Hum ne tere baad na rakhi kisi se mohabbat ki aas; Ek shakhs hi bahut tha, jo sub kuch sikha gaya. 2. Woh khud par garoor karte hai, to isme hairat ki koi baat nahi. Jinhe hum chahte hai, woh aam ho hi nahi sakte. 3. Hum bhi bikne gaye the bazaar-e-ishq mein, Kya pata tha wafa karne walon ko log khareeda nahi karte.